How chandrayaan_2 reaches to the moon
Hello dosto
Aapaka mere blog the space science firse swagat hai
So friends aajka humara topic
Chandrayaan_2 chandrama tak kaise pahuncha tha
Dosto aapako lagata hoga ki mere iss blog par purani baaton ke baare batata hu si friends mene abhi abhi blogging shuru ki
hai friends promise me iske agle post se future science and technological topic aapko bataunga
So friends
Let's start
Friends aapko patahi hoga ki bharat ka chandrayaan_2 GSLV MK_3 rocket se launch kiya gaya tha
Dosto aapako GSLV MK_3 ki working janne ke liye aur rocket kaise kaam karta janne ke liye aap humaari ye post padh sakte hai
How do space rocket works
https://sciencetechu.blogspot.com/2020/09/how-do-space-rocket-works-in-hindi.html
Friends
Chandrayaan_2
22 July 2019 ko raat 02:43 min par Satish Dhawan space center se launch kiya gaya tha launching tower paar hone ke baad
rocket ke nozzles thoda ghum jaate hai rocket ki disha badalne ke liye nozzles thoda thoda ghum kar rocket 90 degree par aane lagata hai
Kyuki pruthvi gol hai to iske gravitational force ke karan rocket🚀 dheere dheere horizontal direction me mudne lagata hai
Isse gravity turn kehte hai
Dosto aapko rocket ka mudne ka karan samjhane ke liye aap imaginat kijiye ki ek projectile ko mount everest ki upar se fire kiya jaye
To gravity iss projectile ko niche ki aur curve karde gi aur projectile dharti se takra jayega lekin agar projectile ko aur teji se
fire kiya jaye to projectile pruthvi par girne ke li aur samay lagayega
Aur agar uss projectile ko aur bohot teji se fire kiya jaye to uss projectile ka curvature pruthvi ke curvature ke barabar hojayega
Aur woh projectile humesha pruthvi ki aur girata hi rahega par pruthvi gol hone ke
karan kabhi pruthvi par wapas nahi aapayega agar uss projectile ko aur bhi
jyada teji se fire kiya jaye to wo projectile pruthvi se dur chala jayega aur gravity usse firse paas khich legi aur uss projectile ka
orbit circular se elliptical ho jayega
Jab bhi koi satellite elliptical orbit me pruthvi dur rehta hai to usse apogee kehte hai aur jab bhi woh satellite pruthvi ke
jyada paas hota hai to usse parigee kehte hai
Aesehi fire karte hue akhir me aesi velocity aayegi ki woh projectile earth ki
gravitational field se escape ho jayega aur pruthvi par kabhi wapas nahi aapayega
Wesehi chandrayaan_2 ke orbiter or lander
Earth ki orbit me chhode jane ke bad usme
lage propeltion system ka istemaal se chandrayaan_2 apana orbit badhata chala jata hai
jaise agar spacecraft ko parigee se axlerate kiya jaye to apogee badhata hai wesehi chandrayaan_2 apana orbit badhate
badhate chandrayaan_2 earth moon transfer orbit me chal jata hai aur moon ki
gravity chandrayaan_2 ko captured kar leti
Hai
Uske baad chandrayaan_2 ko reverse direction me fire karke orbiter lowering menoure shuru kiye jate hai
Fir vikram lander orbiter se alag ho jata hai uske mutabik lander ko chandrama par uter ne ke liye deboosting prakriya shuru ki jati hai par chandrama ki Satah se kuchh
2 km upar lander se contact tut jata hai aur vikram lander chandrama par hard lading kar jata hai
Fir bhi ye mission 95% safal raha hai aisa hamare isro ke scientist keh rahe hai aur dosto iska lander bhalehi chandrama par soft landing na kar paya ho par aajki
advanced technology ka orbiter aur uske electronics equipments sahi se kam kar rahe hai aur aage 7 years tak kam karte rahenge
Dosto iss year 22 July 2020 ko chandrayaan_2 ko pura saal ho gaya hai aur humare orbiter ne chandrama ke pure 4400 chakkar pure kiye hai
Aur kyuki chandrayaan_2 ka lander soft landing nahi kar paya tha isliye agle year ki starting me mission chandrayaan_3 launch kiya jayega aur isro ne lockdown kw baad
se iss mission ki tayiyaari joro se chal rahi hai
So friends aapko ye article kaisa laga hame comment karke jarur batayen
Thank you
2 टिप्पणियाँ
Mast Blog He Sir Aapka. Bohot Achha Laga Padhke.
जवाब देंहटाएंAmezing blog article
जवाब देंहटाएं