ye meri pehli post hai aur aapne thekha hi hai ki meri first post ka topic hai how do
rocket works antriksh rocket kaam kaise karte hai to friends ye janane se pahlee
aapko bata du ki mere is blog par me hamesha science and technology se judi post milte rahegi
so lets start
How do space rocket works (in hindi)
Friends hum rocket ka working samjhane ke liye example ke taur par isro ke rocket
GSLV MK 3 rocket ko lete hai
gslv mk 3 ek three stage rocket hai first stage iske boosters joki rocket ko initial thrust dete hai jisse ki rocket teji se upar uth sake ye
s200 solid moters hote hai aur ye rocket ke core stage (second stage) se jude hote hai ye boosters solid propellent systems hote hai
jinhe solid motors bhi kehte hai ye bilkul diwali ke rocket ki tarah hota hai solid propellent fuel,oxidieser or binder ka mixture hai joki booster ke bich me ek
jagah ke sath casing me pack hota he aur jab ye combustion chamber me jaltA hai to iss chamber se niklne waali hot (garm)
gases boosters ke nichle nozzles se boht jyada force ke saath bahr niklti hai aur rocket upar ki aur badhata jai
ab second stage me joki iska core stage hota hai liquid propellent system ka use kiya jata hai iss system me jyadatar do
tarah ke liquid ka use kiya jata hai fuel aur oxidiser ye dono alag alag tank me rakhe jate hai aur jab thrust ki jarurat hoti hai tab turbo pump ki madat se inhe combustion
chamber me bhej diya jata hai jyadatar liquid propellent system kam vishwas niy hote kyonki ye kam thrust paida karte hai
par inhe jarurat padne par band bhi kiya ja sakta hai is liye inhe use kiya jata hai
ab gslv ka last stage crayogenic engene hota hai jisme liquid oxygen aur liquid
hydrogen ko bohot kam temperature pe rakha jata hai jahase inhe combustion chamber me pump kiya jata hai aur inhe jalaya jata hai eficiency ke mamle me
cryogenic engene solid aur liquid stage se jyada eficient hota hai aur pratyek kg fuel par jyada thrust paida karta hai
iske baad uske upar aerodynamicaly design
protective casing me payload ko rakha jata hai aur ye last stage payload ko apani orbit me pahuncha deta hai
to ye tha ki rocket kaise kaam karta hai
agar dosto aapko aesehi sci and technology se jude post chahiye to subscribe kijiye
aur dosto ye meri pehli post hai isliye agar
mujhse koi galti hui ho to please mujhe comment karke bataye taki me usse sudharkar khudko improve kar saku
Thank you
0 टिप्पणियाँ