Technology

Header Ads

NASA MARS 2020 PERSEVRANCE ROVER (in hindi / english)



Nasa Mars 2020 persevrance rover (in hindi)




Hey dosto

Kaise ho aap sab log swagat aapka swagat hai aapka mere blog 



The space science me

Aur aajka humara topic hai nasa Mars persevrance rover 



Aaj hum issi topic ke bare me janenge


 

  1) Ki ye rover mission kya he isska

 goal kya hai



2) Ye waha jakar kya kaam karega



3) aur ye rover or orbiter Mars tak kaise pauchte he ya land kaise karte hai



So friends let's start



Dosto ye mission nasa ka Mars exploration rover mission he 




Dosto aap sab log jinki space ke baare me janne ki ruchi hai unhe jarur pata hoga ki kai saare Mars mission kiye hai  aur unme kuchh fail bhi huye aur successful bhi 



To nasa bohot saare Mars rover mission kar chuka hai jaise ki 



Spirit, opportunity, curiosity 


Aur ye succesful bhi rahe hai


To aap soch rahe honge ki nasa kyu firse ek aur rover bhej raha hai jabki itne saare rover mission kiye ja chuke hai



To dosto inn saare rover mission me drill laga hua tha jinse woh Mars ki Satah par drill karte aur samples collect karke unhe 



apne lage hue electronics equipments se unpar experiment karke woh saara data nasa ko bhejte par isse unn samples ki 




janch puri tarah se nahi hoti hai  rover sirf ek ya do tarah ke test unn sample par kar sakta hai aur haymare future human Mars mission ke liye puri information hona 



bohot jaruri hai issliye iss mission se alag alag jagah se unn samples ko collect kiya jayeg aur fir baad me ek dusra mission bhejke unn samples ko Mars se collect 





karke unhe dharti par laya jayega aur unn samples par badi badi labs me different different types of test kiye jayenge taki ye



 pata chal sake ki kya Mars par jivan hai waha mitti insano ke rahne layk hai ye sab test kiye jayenge 




Aur unn samples ko collect karke lane ke liye ek joint mission kiya jayega joki 




Nasa aur uropean space agency milkar karegi 



Ye nasa ka Mars persevrance rover mission 30 July 2020 ko launch hua kyuki July se August ke bhich Mars aur earth ke bich ki 




duri sabase kam hhoti hai aur aur mars ke liye koi mission launch karne ka scientist ke liye ya sunhara mauka hota hai




To rocket rover ko hohmanns orbit  me pauncha dega ab aap kahoge ye hohmanns orbit kya hai 

To aapako niche dikha raha hoga ki spacecraft earth se nikalkar mars ki or gaya aur usaki orbit andakar hai yaani egg ki size jaise hai uss orbit ko hohmanns orbit kaha jaata hai 

Yaani 

Earth- mars trasection orbit



Hai Ye mars ki orbit me pauch kar mars chakkR lagayega issi samay me scientist chech karenge ki usme ke saare instruments sahi 




se kaam kar rahe ki nahi aur checking hone ke baad woh probe mara ki atmosphere me entry karega 





Uske baad mars ke thin atmosphere se niklne ke baad heat shield usse alag ho jayegi aur probe ke parachute khul jayenge




 Usse uske speed aur jya kam ho jayegi rover ke sath skycrane bahar nilegi skycrane ke thrusters uski speed aur bhi jyada kam kar denge 



Uske baad skycrane rover ko bohot softly mars ki Satah par utaar degi 


Rover ki landing site jezero crater hai 




Uske baad skycrane rover se kahi dur jakar utar jayegi Mars par landing thik 20 Feb 2021 hogi uske baad rover active ho jayega




Iss rover ka design bilkul curiosity rover ki tarah hi banaya gaya hai sirf isme kuch changes kiye gaye hai isake wheels change kar diye gaye hai aur isame aur bhi advanced equipments lagaye gaye hai


Aur isame ek nayi baat ye hai ki iske saath ek helicopter bhi bheja gaya hai


Ye helicopter ek technology demonstration he jise rover ke niche rakha jayega
Rover la d hone ke baad helicopter issi jagah par chhod dega aur usse dur chala 



jayega fir ye helicopter mars par udd sakta hai ki nahi ye rover ki help se dekha jayega 
Ye sirf demonstration ki kya hum kar sakte hai 




To dosto ye rover apane kaam me lag jayega mars ki Satah par drill karke mitti ke samples collect karke unhe seal karke wahi par chhod dega 



Fir 2022 me ek aur mission kiya jayega jisme ek lander aur rover hoga ye rover chhota hoga ye rover unn samples ki collect karke lander ke paas bhej dega fir lander unn samples ko ek rocket me rakha ke launch kar dega 


Woh rocket low Martian orbit me uropian space agency ke probe se dock ho jayega aur woh probe unn samples ko dharti par wapas le aayega


So friends ye he perservanse ki full information aur nasa ka Aageka plan


Dosto agar aap chahte ho ki me aage ke saare  articles  Hindi me likhu matlab me hindi language me type karu to mujhe comment karke jarur bataye



Thank you 

अगर आपको अच्छे headphones चाहिए हो तो आप खरिद सकते हैं 👇



Read about UAE mars mission


एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ